May 31, 2023

AwiShewi Entertainment Website

Urdu Poetry, Urdu Stories, Urdu Quotes, Urdu Interesting Questions and Urdu Interesting Things Related Website

Aansu Shayari – Dard Bhari Shayari Urdu Hindi

Aansu Shayari - Dard Bhari Shayari

This post has already been read 30891 times!

Aansu Shayari

vaise to ik aañsū hī bahā kar mujhe le jaa.e
aise koī tūfān hilā bhī nahīñ saktā
(WASEEM BARELVI)

rone vaale tujhe rone kā salīqa hī nahīñ
ashk piine ke liye haiñ ki bahāne ke liye
(ANAND NARAYAN MULLA)

ek aañsū ne Duboyā mujh ko un kī bazm meñ
buuñd bhar paanī se saarī aabrū paanī huī
(SHEIKH IBRAHIM ZAUQ)

vo aks ban ke mirī chashm-e-tar meñ rahtā hai
ajiib shaḳhs hai paanī ke ghar meñ rahtā hai
(BISMIL SABRI)

ek aañsū bhī hukūmat ke liye ḳhatra hai
tum ne dekhā nahīñ ā.ankhoñ kā samundar honā
(MUNAWWAR RANA)

muddat ke ba.ad us ne jo kī lutf kī nigāh
jī ḳhush to ho gayā magar aañsū nikal paḌe
(KAIFI AZMI)

un ke ruḳhsār pe Dhalke hue aañsū tauba
maiñ ne shabnam ko bhī sho.aloñ pe machalte dekhā
(SAHIR LUDHIANVI)

shabnam ke aañsū phuul par ye to vahī qissa huā
āñkheñ mirī bhīgī huī chehra tirā utrā huā
(BASHIR BADR)

is qadar royā huuñ terī yaad meñ
ā.īne āñkhoñ ke dhundle ho ga.e
(NASIR KAZMI)

hasīñ terī āñhkeñ hasīñ tere aañsū
yahīñ Duub jaane ko jī chāhtā hai
(JIGAR MORADABADI)

phir mirī aañkh ho ga.ī namnāk
phir kisī ne mizāj pūchhā hai
(ASRARUL HAQ MAJAZ)

aarzū hasrat aur ummīd shikāyat aañsū
ik tirā zikr thā aur biich meñ kyā kyā niklā
(SARWAR ALAM RAZ)

thame aañsū to phir tum shauq se ghar ko chale jaanā
kahāñ jaate ho is tūfān meñ paanī zarā Thahre
(LALA MADHAV RAM JAUHAR)

palkoñ kī had ko toḌ ke dāman pe aa girā
ik ashk mere sabr kī tauhīn kar gayā
(UNKNOWN)

aañkh kam-baḳht se us bazm meñ aañsū na rukā
ek qatre ne Duboyā mujhe dariyā ho kar
(HAFEEZ JALANDHARI)

mire ashk bhī haiñ is meñ ye sharāb ubal na jaa.e
mirā jaam chhūne vaale tirā haath jal na jaa.e
(ANWAR MIRZAPURI)

bahtā aañsū ek jhalak meñ kitne ruup dikhā.egā
aañkh se ho kar gaal bhigo kar miTTī meñ mil jā.egā
(AHMAD MUSHTAQ)

udaas āñkhoñ se aañsū nahīñ nikalte haiñ
ye motiyoñ kī tarah sīpiyoñ meñ palte haiñ
(BASHIR BADR)

mirī ruuh kī haqīqat mire āñsuoñ se pūchho
mirā majlisī tabassum mirā tarjumāñ nahīñ hai
(MUSTAFA ZAIDI)

roz achchhe nahīñ lagte aañsū
ḳhaas mauqoñ pe mazā dete haiñ
(MOHAMMAD ALVI)

lagī rahtī hai ashkoñ kī jhaḌī garmī ho sardī ho
nahīñ ruktī kabhī barsāt jab se tum nahīñ aa.e
(ANWAR SHUOOR)

thamte thamte thameñge aañsū
ronā hai kuchh hañsī nahīñ hai
(BUDH SINGH QALANDAR)

āñkhoñ se āñsuoñ ke marāsim purāne haiñ
mehmāñ ye ghar meñ aa.eñ to chubhtā nahīñ dhuāñ
(GULZAR)

jo aag lagā.ī thī tum ne us ko to bujhāyā ashkoñ ne
jo ashkoñ ne bhaḌkā.ī hai us aag ko ThanDā kaun kare
(MOIN AHSAN JAZBI)

maiñ jis kī aañkh kā aañsū thā us ne qadr na kī
bikhar gayā huuñ to ab ret se uThā.e mujhe
(BASHIR BADR)

dil meñ ik dard uThā āñkhoñ meñ aañsū bhar aa.e
baiThe baiThe hameñ kyā jāniye kyā yaad aayā
(WAZIR ALI SABA LAKHNAVI)

kyā kahūñ kis tarah se jiitā huuñ
ġham ko khātā huuñ aañsū piitā huuñ
(MEER ASAR)

maiñ ronā chāhtā huuñ ḳhuub ronā chāhtā huuñ maiñ
phir us ke baad gahrī niind sonā chāhtā huuñ maiñ
(FARHAT EHSAS)

samajhtā huuñ sabab kāfir tire aañsū nikalne kā
dhuāñ lagtā hai āñkhoñ meñ kisī ke dil ke jalne kā
(AMEER MINAI)

ab apne chehre par do patthar se sajā.e phirtā huuñ
aañsū le kar bech diyā hai āñkhoñ kī bīnā.ī ko
(SHAHZAD AHMAD)

ye aañsū be-sabab jaarī nahīñ hai
mujhe rone kī bīmārī nahīñ hai
(KALEEM AAJIZ)

ashk-e-ġham dīda-e-pur-nam se sambhāle na ga.e
ye vo bachche haiñ jo maañ baap se paale na ga.e
(MEER ANEES)

mohabbat meñ ik aisā vaqt bhī dil par guzartā hai
ki aañsū ḳhushk ho jaate haiñ tuġhyānī nahīñ jaatī
(JIGAR MORADABADI)

maiñ jo royā un kī āñkhoñ meñ bhī aañsū aa ga.e
husn kī fitrat meñ shāmil hai mohabbat kā mizāj
(ANWAR SABRI)

āñkhoñ tak aa sakī na kabhī āñsuoñ kī lahr
ye qāfila bhī naql-e-makānī meñ kho gayā
(ABBAS TABISH)

aasrā de ke mere ashk na chhīn
yahī le de ke bachā hai mujh meñ
(UNKNOWN)

bichhī thiiñ har taraf āñkheñ hī āñkheñ
koī aañsū girā thā yaad hogā
(BASHIR BADR)

maiñ ne chāhā thā ki ashkoñ kā tamāshā dekhūñ
aur āñkhoñ kā ḳhazāna thā ki ḳhālī niklā
(SAQI FARUQI)

vo maazī jo hai ik majmua ashkoñ aur aahoñ kā
na jaane mujh ko is maazī se kyuuñ itnī mohabbat hai
(AKHTAR ANSARI)

aa dekh ki mere āñsuoñ meñ
ye kis kā jamāl aa gayā hai
(ADA JAFAREY)

Duub jaate haiñ umīdoñ ke safīne is meñ
maiñ na mānūñgā ki aañsū hai zarā sā paanī
(JOSH MALSIANI)

aañsū hamāre gir ga.e un kī nigāh se
in motiyoñ kī ab koī qīmat nahīñ rahī
(JALEEL MANIKPURI)

rakh na aañsū se vasl kī ummīd
khāre paanī se daal galtī nahīñ
(SHAIKH QUDRATULLAH QUDRAT)

koī bādal ho to tham jaa.e magar ashk mire
ek raftār se din raat barābar barse
(BASHIR BADR)

kitnī fariyādeñ laboñ par ruk ga.iiñ
kitne ashk aahoñ meñ Dhal kar rah ga.e
(SUFI TABASSUM)

pahle nahā.ī os meñ phir āñsuoñ meñ raat
yuuñ buuñd buuñd utrī hamāre gharoñ meñ raat
(SHAHRYAR)

dam-e-ruḳhsat vo chup rahe ‘ābid’
aañkh meñ phailtā gayā kājal
(SYED AABID ALI AABID)

aaj aañsū tum ne poñchhe bhī to kyā
ye to apnā umr bhar kā kaam hai
(JALEEL MANIKPURI)

kyā kahūñ dīda-e-tar ye to mirā chehrā hai
sañg kaT jaate haiñ bārish kī jahāñ dhaar gire
(SHAKEB JALALI)

nikalne hī nahīñ detī haiñ ashkoñ ko mirī āñkheñ
ki ye bachche hamesha maañ kī nigarānī meñ rahte haiñ
(MUNAWWAR RANA)

ye be-sabab nahīñ aa.e haiñ aañkh meñ aañsū
ḳhushī kā lamha koī yaad aa gayā hogā
(AKHTAR SAEED KHAN)

dil bhī ai ‘dard’ qatra-e-ḳhūñ thā
āñsuoñ meñ kahīñ girā hogā
(KHWAJA MEER DARD)

ārizoñ par ye Dhalakte hue aañsū tauba
ham ne sho.aloñ pe machaltī huī shabnam dekhī
(JOSH MALSIANI)

aur kuchh tohfa na thā jo laate ham tere niyāz
ek do aañsū the āñkhoñ meñ so bhar laa.eñ haiñ ham
(MEER HASAN)

jab bhī do aañsū nikal kar rah ga.e
dard ke unvāñ badal kar rah ga.e
(SUFI TABASSUM)

koī manzil nahīñ miltī to Thahar jaate haiñ
ashk āñkhoñ meñ musāfir kī tarah aate haiñ
(KAFEEL AAZAR AMROHVI)

ashkoñ ke Tapakne par tasdīq huī us kī
be-shak vo nahīñ uThte āñkhoñ se jo girte haiñ
(NOOH NARVI)

ghaas meñ jazb hue hoñge zamīñ ke aañsū
paañv rakhtā huuñ to halkī sī namī lagtī hai
(SALEEM AHMED)

merī āñkhoñ meñ haiñ aañsū tere dāman meñ bahār
gul banā saktā hai tū shabnam banā saktā huuñ maiñ
(NUSHUR WAHIDI)

hote hī shaam jalne lagā yaad kā alaao
aañsū sunāne dukh kī kahānī nikal paḌe
(IQBAL SAJID)

itne aañsū to na the dīda-e-tar ke aage
ab to paanī hī bharā rahtā hai ghar ke aage
(MEER HASAN)

yaad ashkoñ meñ bahā dī ham ne
aa ki har baat bhulā dī ham ne
(GHULAM MOHAMMAD QASIR)

yuuñ hī āñkhoñ meñ aa ga.e aañsū
jā.iye aap koī baat nahīñ
(SALAM MACHHLI SHAHRI)

khul ke rone kī tamannā thī hameñ
ek do aañsū nikal kar rah ga.e
(SUFI TABASSUM)

ashkoñ ke nishāñ parcha-e-sāda pe haiñ qāsid
ab kuchh na bayāñ kar ye ibārat hī bahut hai
(EHSAN ALI KHAN)

vo pūchhte haiñ dil-e-mubtalā kā haal aur ham
javāb meñ faqat aañsū bahā.e jaate haiñ
(HADI MACHLISHAHRI)

rok le ai zabt jo aañsū ki chashm-e-tar meñ hai
kuchh nahīñ bigḌā abhī tak ghar kī daulat ghar meñ hai
(AHSAN MARAHRAVI)

nāseh ne merā haal jo mujh se bayāñ kiyā
aañsū Tapak paḌe mire be-iḳhtiyār aaj
(DAGH DEHLVI)

yuuñ to ashkoñ se bhī hotā hai alam kā iz.hār
haa.e vo ġham jo tabassum se ayaañ hotā hai
(MAQBOOL NAQSH)

ye aañsū DhūñDtā hai terā dāman
musāfir apnī manzil jāntā hai
(ASAD BHOPALI)

ġhair se khelī hai holī yaar ne
Daale mujh par dīda-e-ḳhūñ-bār rañg
(IMAM BAKHSH NASIKH)

aap ko ḳhuun ke aañsū hī rulānā hogā
hāl-e-dil kahne ko ham apnā agar baiTh ga.e
(ZAIN-UL-ABIDEEN KHAN ARIF)

ba-qadr-e-zauq mere ashk-e-ġham kī tarjumānī hai
koī kahtā hai motī hai koī kahtā hai paanī hai
(FIGAR UNNAVI)

zindagī jin kī rifāqat pe bahut nāzāñ thī
un se bichhḌī to koī aañkh meñ aañsū bhī nahīñ
(ZUBAIR RIZVI)

Tapke jo ashk valvale shādāb ho ga.e
kitne ajiib ishq ke ādāb ho ga.e
(ALTAF MASHHADI)

dāman ashkoñ se tar kareñ kyūñ-kar
raaz ko mushtahar kareñ kyūñ-kar
(MUBARAK AZIMABADI)

jo terī bazm se uTThā vo is tarah uTThā
kisī kī aañkh meñ aañsū kisī ke dāman meñ
(SALIK LAKHNAVI)

shabnam ne ro ke jī zarā halkā to kar liyā
ġham us kā pūchhiye jo na aañsū bahā sake
(SALAM SANDELVI)

dāman se vo poñchhtā hai aañsū
rone kā kuchh aaj hī mazā hai
(MOHSIN KAKORVI)

do ghaḌī dard ne āñkhoñ meñ bhī rahne na diyā
ham to samjhe the baneñge ye sahāre aañsū
(HAKEEM NASIR)

aañsū mirī āñkhoñ meñ haiñ naale mire lab par
saudā mire sar meñ hai tamannā mire dil meñ
(BEKHUD BADAYUNI)

dil kī har baat kah ga.e aañsū
gir ke āñkhoñ se rah ga.e aañsū
SYED BASIT HUSSAIN MAHIR LAKHNAVI

aag duniyā kī lagā.ī huī bujh jā.egī
koī aañsū mire dāman pe bikhar jaane de
(NAZEER BAAQRI)

hāl-e-pareshāñ sun kar merā aañkh meñ us kī aañsū haiñ
maiñ ne us se jhuuT kahā ho aisā bhī ho saktā hai
(MALIKZADA MANZOOR AHMAD)

jo baat hijr kī aatī to apne dāman se
vo aañsū poñchhtā jaatā thā aur maiñ rotā thā
(NAZEER AKBARABADI)

rasā hoñ yā na hoñ naale ye nāloñ kā muqaddar hai
‘hafīz’ aañsū bahā kar jī to halkā kar liyā maiñ ne
(HAFEEZ MERATHI)

soz-e-ġham hī se mirī aañkh meñ aañsū aa.e
sochtā huuñ ki ise aag kahūñ yā paanī
(JOSH MALSIANI)

mere aañsū ke pochhne ko miyāñ
terī ho āstīñ ḳhudā na kare
(SHAIKH ZAHURUDDIN HATIM)

nazar bachā ke jo aañsū kiye the maiñ ne paak
ḳhabar na thī yahī dhabbe baneñge dāman ke
(ARZOO LAKHNAVI)

mahfil ke biich sun ke mire soz-e-dil kā haal
be-iḳhtiyār sham.a ke aañsū Dhalak paḌe
(TABAN ABDUL HAI)

aayā hai mire dil kā ġhubār āñsuoñ ke saath
lo ab to huī mālik-e-ḳhushkī-o-tarī aañkh
(KHWAJA MOHAMMAD WAZIR)

merī ik umr aur ik ahd kī tārīḳh raqam hai jis par
kaise rokūñ ki vo aañsū mirī ā.ankhoñ se girā jaatā hai
(FARHAT EHSAS)

ashk jab dīda-e-tar se niklā
ek kāñTā sā jigar se niklā
(AKHTAR IMAM RIZVI)

nahīñ bujhtī hai pyaas aañsū siiñ lekin
kareñ kyā ab to yaañ paanī yahī hai
(SIRAJ AURANGABADI)

kabhū tū ro to us ko ḳhaak uupar jā ke ai lailā
ki bin paanī jañgal meñ ruuh majnūñ kī bhaTaktī hai
(SHAIKH ZAHURUDDIN HATIM)

ye vo aañsū haiñ jin se zohra ātishnāk ho jaave
agar piive koī un ko to jal kar ḳhaak ho jaave
(INAMULLAH KHAN YAQEEN)

vo jugnū ho sitāra ho ki aañsū
añdhere meñ sabhī mahtāb se haiñ
(AKHTAR SHAHJAHANPURI)

yuuñ chashm-e-tar se chehre par aañsū hue ravāñ
dariyā se jaise laave koī nahr kaaT kar
(MUSHAFI GHULAM HAMDANI)

ālūda-ba-ḳhūñ chashm se Tapke hai jo aañsū
sab kahte haiñ hairat se ye motī hai ki mūñgā
(JURAT QALANDAR BAKHSH)

sitāroñ se shab-e-ġham kā to dāman jagmagā uThThā
magar aañsū bahā kar hijr ke māroñ ne kyā paayā
(FAROOQ BANSPARI)

na poñchho mere aañsū tum na poñchho
kahegā koī tum ko ḳhosha-chīñ hai
(KHWAJA MOHAMMAD WAZIR)

Tags: shayari, sad shayari, hindi shayari, meshwafilms, bewafa shayari, hindi sad songs, meshwa electronics, hindi million views shayari, hindi million shayari, new hindi million viewers shayari, sayari, mamta soni, dekh’kar usko, rula degi dard bhari shayari, dard bhari shayari, vikram thakor, rula degi shayari, mamta soni dard bhari shayari, aapko rula degi dard bhari shayari, mamta soni ki dardbhari shayari, dardbhari shayari mamta soni, bollywood sad songs, hindi sad love songs, bollywood songs 2016, latest hindi songs 2016, new hindi songs 2016, breakup songs, love songs, sad songs, sentimental songs hindi, hindi sad songs 2016, aankh hi na royee, ek dard sabhi ko hota hai, ishq agar hai jurm to, jaa bewafa jaa song, altaf raja tum to thehre pardesi, altaf raja hit songs collection, altaf raja hit songs, altaf raja sad song, altaf raja all songs

This post has already been read 30891 times!