June 6, 2023

AwiShewi Entertainment Website

Urdu Poetry, Urdu Stories, Urdu Quotes, Urdu Interesting Questions and Urdu Interesting Things Related Website

Adha Marz – Urdu Hindi Suspense Story (Jasoosi Kahani)

Urdu Story in Text

Adha Marz - Urdu suspense Story (Jasoosi Kahani) (3)

This post has already been read 3782 times!

Aik lajawab Urdu suspense story jo aap ko dimagh ko chakra dai or sochnay par majboor kar dai.

Aaj subha kee pehli kiran kay sath hee mein, yeh hatmi faisla kar chuka thaa kay mein is mulk kee sab say naamwar or janee maanee Psychiatrist Dr Hadia Amin kaa appointment hasil karunga

Or apnay is aadhay pagal dimagh kaa ilaj karwaonga.

Lahore kaa kaun saa aisaa psychiatrist nahi hoga jis kay pas mene apni qismat naa aazmayi hoo, lekin mera marz sambhalnay kee bajaye rauz baa rauz barhtaa hee ja raha thaa.

Mera marz naa mujhay samjh ataa thaa naa mein ksi ko smjhaa paataa thaaa iss liye sab hee nay mere muamlay mein aflatoon banne kaa faisla kia huwa thaa,

Koi ksi Psychiatrist kay paas le jata , koi kisi bangali baba kay darshan karwata tau koi qabrastan mein chillay katwata,

Gharz yeh kay puray mahinay mein kamaye huwe paisay mein apnay ilaj mein hee ganwa beth taa thaa.

Aik din Facebook istamal karte huwe Dr Hadia kay page par jaa pohancha or goya mujhay meri doobti Kashtee kaa akhri mallah mil gaya.

Mukhtasran ye kay usdin 3 baje mera appointment thaa, apni motorcycle ko chothay gear mein daal kar mein 2:45pm par un kay clinic jaa pohanchaaa,

Wahan pohancha tau, wahan clinic se ziada aik banglow mein Party numa saa mahool bana huwa thaa,

Jo mareez mere sath intizar gah mein bethay thay Woh sab hans bol rahay thay, Koi coffee pee raha thaa tau koi balcony mein khara thandi hawa se lutf andooz ho rahaa thaa,

Kuch mard mareez snooker khel rahay thay tau kuch deewarun par apni marzee kay rang bikhair rahay thay,

Har umar kay laug or har tabqay kay laug maujood thay, aisaa lag hee nahi raha thaa kay yeh sab laug mareez hain or yahan ilaj karwanay aye hain

Mein foran hee samjah gaya kay Dr Hadia nay apnee fees 50,000 kuon rakhee hai, or andar hee andar khud ko kosnay laga kay kuon mene apnee bachee kuchee jamaa punjee bhee in bekar kee cheezon mein jhoonk dee.

Issi kashmakash mein, Mujhay piyas lagnay lagee. Paani pia or laugon say salam dua karte huwe mein phir se apni nishast par aa pohancha

Ghanti kii awaz bajtay hee mera naam pukara gaya Abdul Wajid Ahmed, Mein istaqbaliya par gaya apnay appointment kee parchee dikhayi or andar dakhil hogaya.

Yeh!!! yeh 29-30 saala burger larkee mere is paicheeda marz kaa ilaj karegi?

Yeh facebook par tau 40-45 saala khatoon lagtee hain lekin yahan tau muamlay hee ulta hai, aisa lagta hai, university se pass honay kay baad seedha mun utha kar yeh clinic chalana shuru kar dia hai mohtarma nay.

Yeh doctor se ziada mujhay Model gumaan huween, Ye golden Khulay huwe baal, digital kutree or ye choori daar gulabi Pajama or bara saa narangi rang kaa ainak, is aik ainak mein pata nahi kitnay ghareebon kay ainak ban jatay?

Urdu Horror Story

TAGS: story in urdu, story urdu, in urdu story, urdu fairy, urdu story,
urdu fairy tales new stories 2017, urdu fairy tales new stories 2018, stories for kids in urdu, kids story in urdu, urdu fairy tales stories, urdu stories for kids, fairy tales in urdu, kahaniyan in urdu, stories in urdu, urdu story islamic, urdu story with moral, urdu story 2018, urdu story pdf, urdu story cartoon, urdu story new 2019, urdu story books pdf, urdu story 2019, urdu story writing, urdu story video, urdu story new, urdu story books, urdu story love, urdu story for kids, Urdu Fairy Tales, urdu kahani for childrens, jenny story in urdu urdu story, lake story in urdu urdu story, fairy tail in urdu, fairy tail, fairy tales, Urdu Kahaniya, urdu stories, urdu kahani, jenny story, lake story, witch story, To Your Good Health Story | in Urdu, Princess of the Blue Mountain Story in Urdu, The Grumpy Old Man Story in Urdu, funny story, shopkeeper story, The Magic Swan Story in Urdu, Mangita And Larina Story in Urdu,