May 31, 2023

AwiShewi Entertainment Website

Urdu Poetry, Urdu Stories, Urdu Quotes, Urdu Interesting Questions and Urdu Interesting Things Related Website

Best Short Love Story – Taxi Driver – in Urdu / Hindi 2019

LOVE STORY IN URDU

This post has already been read 3434 times!

Best Short Love Story – Taxi Driver – in Urdu / Hindi 2019

Introduction of the Urdu Love Story!

Pehse Khidmat hai Short Love Story in Urdu, ye Urdu Story aam Urdu Love Stories se bohat mukhtalif hai, Ham Umeed karte hain kay aap hamari Urdu Stories 2017 se lutf andoz ho rahay hongay.

Best Short Love Story in urdu

Mujhay Hyderabad se Karachi Shift huwe, teen saal ho chukay hain, Hyderabad se anay kee waja meri wahan kay kuch laugon se Jani Dushmani hai,

3 saal pehle Meri Taxi se aik accident hogaya thaa, Halanke ghalti meri nahi thee, us motor cycle waay ka signal band honay kay bawajud woh taiz raftari se Signal taurta huwa meri ghari se takra gaya thaa,

Khair Mere waldain ne mujhay Karachi bhejna munasib samjha kuon kay yahan Walid sahab kay bohat say janne walay dost yaar hain,

Mein yahan akar bhee Taxi chalanay laga, Shaklo o Soorat kay sath mere waldain nay hamari Tarbiyat be had nafees tariqay se kee thee,

Iss liye Ikhlaq or andaz e guftugu bhee sheeren hai mera,

Yahan walid sahab kee jan pehchan walay Abdul Aziz bhai ne Taxi kee setting bhee karwa dee, or kiraya kaa ghar bhee kemari kay ilaqe mein dilwa dia,

3 saal mein mene Kiraye kee taxi se , Alhamdulillah apnee 2 taxies bana lee hain, aik kiraye par dai dee or aik khud chalata hon,

Taleem mukammal na honay ka hamesha se afsos hai lekin aksar Customers hazrat itnay aala ikhlaq kay malik hotay hain kay woh rastay mein mujhay kuch na kuch seekha hee daite hain,

Mard hazrat tau mard hazrat aksar oqat kuch khawateen bhee itnee khush mizaj hotee hain kay woh pechay bethnay kee bajaye agay kee seat par ajatee hain,

Or pura ka pura safar, shareek e guftugu rehtee hain, ab isay meri qismat keh lain ya meri koi khoobi jis se ziada tar laug pehle mulaqat mein hee mere dost ban jatay hain,

Abhi 2 maah pehle aik dost nay bataya kay Careem or Uber name Taxi services bhee Karachi mein ayi hain,

Mujhay aik ache see ghari leni chahye or Un kay sath mil kar kaam karna chahye,

Mujhay tau hamesha se hee naye kamun or khas tau par parhay likhay laugon kee talash rehtee hai, lihaza mene apni Taxi bechee, 2015 kee Vitz Khareedi or Careem mein register hogaya,

Iss se ye faida huwa kay ab mujhay Andriod mobile bhee sahee se chalana agaya doosra meri ghari mein ab Pehle kay muqable mein ziada ba shaoor or parhay likhay sawar hotay thay,

Abhi pichlay hafte kee hee baat hai kay sakht barish kee waja se mein saddar mein phansa huwa thaa or mujhay apnay ghar kemari jana thaa,

Raat kay taqriben 2 baj rahay thay or Itne mein mere mobile par aik notification aya kay 3 talwar par aik sawari maujood hai,

Mein pehle hee barish kee waja se us din acha khasa kama chuka thaa or mere bilkul dil nahi thaa kay us din mazeed kaam karun,

Lekin waldain kee tarbiyat nay mujhay ahsas diaya kay mujhay iss mausam mein us sawari ko akela nahi chorna chahye,

Baat karne kay baad or address maloom karnay kay baad pata chala kay woh aik khaatoon hain,

Khair mene puri koshish se ghari Khadun or Barish kay pani se bachatay huwe 3 talwar jaa pohancha,

Jahan woh wahid khatoon kahri nazar ayin, woh puri tarah bheeg chuki teen or sardi se thar thar kaanp rahee theen,

Mene unhain adaban salam kia or ghari mein bethnay kaa kaha, woh pichay kee seat par akar beth gayin, un khatoon kee umar ba mushkil 21, 22 saal hogee,

Unhain Defence Tauheed commercial area jana thaa,

Woh bohat sehmi huwi theen,

Unki ankhon mein khauf thaa kay shayad mein us andheri or khofnak raat ka faida uthaonga, or un kay sath shayad ziayadti karunga,

Woh musalsal sardi se kaanp raheen theen kuon kay unhon ne na tau sweater pehne thaa naa hee jacket, kapray bhee be had chust or patlay thay,

Mene Unhain pehle apnee shawl utar kar dee, jo unhon nay khamoshi se pehen lee, woh Shawl aurhnay lageen tau mene kaha, iss se khud ko khushk kar lain,

Iss kay bad mene unhain apna jacket utar kar dia tau woh bhee unhon nay khamoshi se pehen lia,

Hamari manzil bas anay hee walee thee kay mujhay ghari mein se kuch badboo anay lagee,

Ghuar karne par mujhay pata chala kay us larkee nay sharab pee huwee thee, or nashay kee waja se usay neend arahee thee,

Uski manzil agayi or mene Kaha jee mohtarma aap jaa saktee hain, meri awaz sun kar woh chonk paree, mene bahir utar kar darwaza bhee khola takay woh ba asani utar jayen,

Unhon ne mujhay 5000 ka note dia, mene kaha change nahee hai mere pas kuon kay un kay sirf 400 bantay thay,

Unhon nay dour hat kar kaha kay baqi aap rakh lain, un kay dour hatnay kaay baad bhee un kay mun se be intiha badboo arahee thee,

Lekin unhon nay jo taiz perfume lagaya huwa thaa us se badboo ka ahsas bar bar dam taur jata thaa,

Mene shukria kay sath woh pese liye or jis tarah mein har customer ko apna card daita hun, unhain bhee card dai dia,

Unhon nay mera card lene kay sath hee usay mere samnay chooma or kaha shukria ajnabee,

Mujhay unki ye ada bohat ajeeb or ghareeb lagee lekin foran khayal aya kay shayad woh bohat ziada nashay mein honay kay bais ye sab kar rahee hain,

Iss kay baad woh larkharate huwe apnee building mein chalee gayi, or mein ghar kee taraf rawana huwa,

Aglay rauz subah subah mujhay usee mohtarma kay number se phone aya, iss se pehle kay mein kuch puch pata unhon nay kaha

“Aap jo koi bhee hain, Shayad Insan nahi farishta hain, Mene aap se ziada naik or shared insaan na kabhi daikha hai or na hee kabhi daikh paongi”,

“Mein aap se be had muhabbat karne lagee hoon, aap soch rahay hongay kay shayad mein ab bhii nashay mein hoon”

“Lekin ba khuda mein nashay mein nahee hoon, mein aap kay kabil tau nahee kuon kay mein zina or saharab jese ghandee adatun mein doobi huwi hon”,

“Lekin agar aap mujh se nikah kar lain tau mein wada kartee hon kay mein in sari buree adatun ko hamesha kay liye chor dungi”,

Yeh sab sun kar, Mujh par sakta tari thaa or mere halaq se awaz pata nahi kahan gayeb ho chuki thee,

“Khu.. Khus….. kkk …. Khushi, huwi kay, Aa… Aaaaa… Aaap rahe raast par ana chahtee hain, M… Mmm…… Mein apnay waldain se mashwara kar kay ap ko jawab daita hon”, Mene ba mushkil apnay alfazun ko jaurtay huwe kaha,

Sach baat tau yeh thee kay us larkee se mein bhee kal pehlee nazar mein hee pyar kar betha thaa,

Lekin baat aghay barhanay kee himmat naa thee, Mein nay apnay waldain kay samnay saree sachai rakh dee,

Or meri umeedon kay mutabiq mere waldain maan bhee gaye, ab aglay haftay mere amma abba Karachiakar Ramsha kay ghar rishta lai kar jayenge.

Mujhay ab tak yaqeen nahi araha kay Iss tarah aik mulaqat mein hee meri nikah ka faisla likha huwa hai.

Aik or Mazedar Urdu Love Story parhanay kay liye yahanclick karain.

———————————- THE END ———————————-

This Love Story in Urdu is Short and conclusive and not very lengthy and boring like other Urdu Love Stories. We believe you would like our this Urdu Story as other Urdu stories.

Love Stories in Urdu are emotional and worth reading as they remind us about our love or some particular event of our life related to our Love.

This Short Story in Urdu Love is about a man who is Taxi driver and new to Karachi. This Urdu Love Kahani has exciting and mind shaking climax.

So how was our this Love Story in Urdu? Tell us in the Comment box below.

If you like our Urdu Stories so share them as much as possible because we need your support.

TAGS: story in urdu, story urdu, in urdu story, urdu fairy, urdu story,
urdu fairy tales new stories 2017, urdu fairy tales new stories 2018, stories for kids in urdu, kids story in urdu, urdu fairy tales stories, urdu stories for kids, fairy tales in urdu, kahaniyan in urdu, stories in urdu, urdu story islamic, urdu story with moral, urdu story 2018, urdu story pdf, urdu story cartoon, urdu story new 2019, urdu story books pdf, urdu story 2019, urdu story writing, urdu story video, urdu story new, urdu story books, urdu story love, urdu story for kids, Urdu Fairy Tales, urdu kahani for childrens, jenny story in urdu urdu story, lake story in urdu urdu story, fairy tail in urdu, fairy tail, fairy tales, Urdu Kahaniya, urdu stories, urdu kahani, jenny story, lake story, witch story, To Your Good Health Story | in Urdu, Princess of the Blue Mountain Story in Urdu, The Grumpy Old Man Story in Urdu, funny story, shopkeeper story, The Magic Swan Story in Urdu, Mangita And Larina Story in Urdu,

This post has already been read 3434 times!