
This post has already been read 7683 times!
Best Short Story in Urdu Sad / Love – Dhoke Baz Larki
Introduction of the Story:
Yeh aik Best Short Story In urdu Love hai, Ye Urdu Love Story hamaree dusree Urdu Love Stories se zara mukhtalif aur hat kar hai.
Mazeed Urdu Stories parhanay kay liye hamara puri Website Zaror check karain.
Best Short Story In urdu Love:
Jab woh class mein pehli baar ayi, bas usi lamhay se, Mein haftay mein aik bar us se zaror Pencil mangta,
Or kam kar kay lauta daita, issi waja se mujhay us se bat karnay ka mauqa mil jata or ahista ahista ye batain dostee mein badalnay lageen,
Us waqt ham class 8 kay talibe e ilm huwa kartay thay,
Hamari dostee bohat gehree ho chukee thee, Aik minute bhee hamain faraghat ka milta tau ham ustani or ustad se nazrain bacha kar batain karnay lag jatay,
Eid ho yee koi baree raat ham aik dusray se puch kar or aik dusray kee pasand kay rangon kay mutabiq apnay kapray banatay,
Pata nahi 2 saal kab guzar gaye or ham nay Matric pass kar lee,
Ham donon jantay thay kay ab ham sirf dost nahi rahay balkay aik dusre se be intiha muhabbat kartay hain,
Or ishq kay samandar mein itnee gehraye mein gharak ho chukay hain, kay jahan se wapsi ka koi rasta nahee,
Ham donon mein se kisi nay bhee ab tak aik doosray se pyar ka izhar nahi kia thaa, lekin hamara pyar itna gehraa thaa kay ham donon kay seenon mein dil bhee aik sath dharakta thaa,
Lekin jab ham second year mein pohanchay aik party kay doran, Aik larkay nay Kiran kay sath badtameezi kee,
Jis se mera khoon kholnay laga or mere us larkay kee aisee durgat banayi kay phir koi Kiran kay aas paas bhee koi nahi bhatakta thaa,
Or usi din sab kay samnay mene Kiran ko galay laga kar puri college kay samnay us se pyar ka izhar kar dia thaa,
Ham donon galay laug kar bohat dair roye thay, us waqiye kay baad se Mein Kiran ko har 5 minute baad message ya call karta thaa,
Or us se puchta thaa kay usay koi takleef tau nahi?
Us din Kiran ka birthday thaa or mene apnee Motorcycle bech kar Kiran ko uski pasand ka Mobile gift kia thaa,
Kiran bohat khush thee woh mujh se baar baar lipat kar khushi se roo rahee thee,
Jab mein usay ghar chornay kay liye gaya tau us nay mujh se aik ajeeb see baat kahee,
“Noman tum se se ziada iss dunya mein ksi nay bhee kisi se ishq nahee kia hogaa, Lekin ishq ka aik dastoor hai kay agar beach mein douri ajaye tau ishq or mazboot hojata hai”
“Mein Kuch samjha nahi”, Mene afsurdgi se jawab dia kion kay mene Kiran ko itna serious aaj se pehle kabhi nahi daikha thaa,
“Baat bohat asaan hai, tum mujhay aik din kay liye naa Call karna na SMS or naa hee milnay ana, Aik din kee douri chahtee hoon mein”, Kiran nay mere donon hath thamthay huwe kaha,
“Lekin iss se kia sabit hogaa?”, mene uskay hathon ko bosaa daita huwe pucha,
“Sabit wabit ka mujhay ilm nahi bas mein ye chahtee hon, kia tum mere liye mujh se aik din kee douri bardasht karogay”? usnay bhee mere hathon ko bosa dia,
Kiran ko maloom thaa kay mein us kee khatir kuch bhee kar sakta hon so mene Haami bhar lee,
Agla din mere liye meri zindagi kaa sab se dushwar din guzra, mein khud ko laan taan kar raha thaa kay mene aisee ajeeb khuwahish kee hami koun bharee,
Mein Machliyoun kee tarah Kiran kee awaz sunnay kay liye or ye janne kay liye Tarap raha thaa,
Kay Kiran kis haal mein hogee, kia kar rahee hogee, koi us kay aas paas hogaa tau nahee, usnay khana khaya hoga ya nahee?
Khair khuda khuda kar kay raat kay 12 bajte hee mene usay phone milaya kay usay bata sakun kay Yes I did it (Han mene kar dikhaya),
Lekin woh mere phone nahi utha rahee thee,
Mere Dil bohat sakht ghabra raha thaa, mujhay itni thand mein bhee paseena araha thaa,
Mene rat kay qareeb 3 bajay ye faisla kia kay mein Kiran kay ghar jaa raha hon,
Halankay raat kay iss peher mein kisi larkee kay ghar jana munasib naa thaa lekin mein marnay laga thaa,
Tau apnee zindagi dhoondnay kee khatir mein chal dia,
Kiran kay ghar pohanca tau wahan pehle se hee laugon kaa rush thaa, mere dil doob raha thaa kay Ya Allah khair, kia majra hai,
Mein dewana war andar ghusa chala gya iss baat ke parwah kiye bagair kay laugon ko kia jawab dunga ka mein kaun hon,
Meri ankhon nay jo nazara daikha woh daikhnay se pehle mein zameen kay andar dhans jata woh ziada behter thaa,
Mein chahta tha kay meri rooh bhee qaza kar jatee,
Kiran samnay kafan mein lipti murda paree thee, mein dharain maar maar kar roo raha thaa,
Lekin meri dharain itnee taiz naa theen k woh Kiran ko maut kee aaghosh se wapis cheen kar laa sakain,
Mujhay wahan kay kuch mard hazrat dilasa dai kar bahir lay gaye or Kiran kee baree sister (behen),
Jisay hamaray pyar kay baray mein pehle din se hee pata thaa,
Usnay mere hath mein aik choti see parchee dee, jis mein Kiran kay akhri alfaz kuch youn tehreer thay,
“Mujhay pata thaa Noman kay tum Kar dikhaogay, tum ne mere bina aik din guzar lia ab puri zindagi bhee guzar laina, Mein apnay blood cancer kay samnay haar gayi”
“Mere ghar walun nay mujh se hamesha ye baat chupa rakhee or parso raat mujhay iss baat kaa iss liye pata chala kuon kay mein adhi mar chuki thee”
“Shahyad mujay aik din kee zindagi iss liye mili kay mein apni zindagi kaa akhri birthday tumharay saath guzar sakun”
“Tum shadi zaror karna or Mujhay kandha zarur daina takay meri rooh ko bhee wahee sukoon hasil ho, jis tarah zindagi mein tum nay mere jism o jaan ko sukoon mein rakha thaa”
“Tumhari Kiran”,
Meri umar aaj 46 saal hai, or mein apnay biwi bachun kay sath aaj bhee mahinay mein aik baar zarur Kiran kee qabar par jata hon.
Aik or Urdu Love Story parhnay kay liye yahan click karain
——————————– The End ——————————–
This post has already been read 7683 times!
More Stories
Hindi Love Story Of A Girl | True Love Story
Latest Heart Touching Short Sad Love Stories in Urdu / Hindi
Best Heart Touching Love Story In Urdu / Hindi