May 28, 2023

AwiShewi Entertainment Website

Urdu Poetry, Urdu Stories, Urdu Quotes, Urdu Interesting Questions and Urdu Interesting Things Related Website

Jinnat – Ghosts (Horror Story in Urdu And Hindi)

Urdu Stories Best

This post has already been read 5433 times!

This Horror Story is one of our best in Latest Horror Stories in Urdu,

Insan kee zindagi mein kuch waqiyat aise hotay hain, jis par khud us insan ko hee yaqeen nahi ata jis kay sath Woh waqiyat guzray hon,

Mujhay jinnat kay bare mein parhne or sunne mein bohat maza ata thaa, mein raat raat bhar jag kar jinnat kay bare mein Islamic or non Islamic books parha karta thaa,

Mein jitna un kay bare mein parhta mujhay un se utna ziada ishq hota jata,

mein kabhi ulma a karam kay pas beth kar un kay mutaliq apnay sawalat kay jawabat laita tau kabhi sheher, shher, gaon gaon jaa kar buzrgan e deen se is makhooq kay bare mein ilm o Danish kay mautee hasil karta,

Itna gehra or wasee muta’ala karne ky baad bhee mere dil mein unhain qaboo karne yaa daikhnay kaa khayal nahi aata,

Mere is junoon ko lai kar ghar walay bohat pareshan rehte, naa hee mein rishtedarun se milta, naa mere dost ahbab thay, naa hee dusri koi jaan pehchan,

Mene graduation kay baad hee abba kee parchi par accounts kee aik sarkari naukri ikhtiyar kar lee thee,

jahan subha 9 baje se 3 baje tak mein puri imandari se duty daita thaa,

Bas yahee Woh waqt hota thaa, jab mein jinnat kay bare mein koi bat nahi parhta thaa na suntaa thaa,

Ye naukri kay 6 ghante mere liye bohat dushwar hote kuon kay mujhay jinnat kay zikr se dour rehna parta,

Lekin abba ki izzat or apnay mustakbil ka soch kar is naukri ko hamesha jari rakha,

Mujay is junoon ko apnaye huwe ab 4 saal honay walay thay,

Abba or amma nay meri shadi ka faisla kia takay mein in kitabun or computer se bahir aa sakun,

Mein ab aur taal bhee nahi sakta thaa kuon kay meri umar us baras 30 saal honay walee thee,

Abba, amma or baree behen kjokay mujh se 3 saal baree thee or mashaAllah se 2 beton kee maa thee, mere liye ilaqe ki aik larkee dhoond laye,

3 mahinay baad nikah kee tareekh rakhee gayi,

mujhay shadi ki tayari ki zara see bhee parwah nahi thee, lekin mere behnoi bohat kush mizaj thay iss liye mujhay zabardasti pakar pakar kar apnee gharee mein shopping karwanay lai jatay,

Lekin mein un kay sath us shart par jata kay, aik mufti sahab bhee ghari mein rahenge takay mein safar kay douran un se jinnat kay bare mein mazeed jaan sakun,

Khair 3 mahinay palak jhapakte hee guzar gaye,

aaj mera nikah or rukhsati thee,

mene ab tak aik dafa bhee apnee honay walee shareek e hayat ko nahi daikha thaa, is liye dil mein aik tajassus bhee thaa,

Mera nikah hogaya, mere nikah mein aam aadmi kam or Ulma a karam, mutiyan e karam or buzurgane deen ziada ayethay,

Masjid mein goya aisa mahool thaa jesa kay koi OIC ka ijlaas ho, har maktaba a fiker kay laug maujood thay,

Maghrib kay baad masjid mein nikah hotay hee saray mehman waheen se hall mein aa pohance kuon kay hamaray yahan maghrib kay baad khana or isha kay bad rukhsati ho jati hai,

Mere begum nay ghoonghat kia huwa thaa, iss liye meri deed ki talab barhtee jaa rahee thee,

Meri begum kay pair kapkapa rahay thay or jism shaded gharam ho raha thaa,

Mene ye baat apnay behnoi kay kan mein batayi tau woh muskara kar kehne lagay kay “aap kaa abhee see itna raub hai sarkar”,

Isha kee namaz kay bad ham sab ghar par rawana hoye,

behnoi ki ghari mein meri khuwahish kay mutabiq agay mufti sahab bethay thay or pechay mein or meri begum,

Mujhay mere kamray mein chor dia gaya,

Mein dil mein soch raha tha kay is shab e uroosi mein jitna waqt zaya hoga utnee dair mein mein jinnat kay bare mein aik choti kitab ya bayan sunlunga,

Phir is larkee or apnay waldain kee khushyoun kaaa khayal aya tau mene socha kay chalo aj kee raat apnay waldain kee khushyoun kay nam kar daite hain,

Mene aaghay barh kar salam kia,

Shayad unhon ne sharam kay mare jawab nahi dia,

Mene Jese hee un ka ghoonghat uthaya, aik zor dar dhamaka huwa, or phir mujhay kuch yad nahi raha,

Meri jab aankh khuli tau mein apnay bister par hee thaa lekin samnay mera aik hamshakal maujood thaa jo behosh para thaa,

mein smjha kay shayad mera intiqal hogaya hai, mein rooh hoon or samnay meri lash..

Foran hee mujhay apni begum ka khayal aya khush qismati se Woh behosh thee kuon kay uski sansain chal raheen theen,

Jab mene ird gird daikha tau bohat se ulma a karam maujood thay or mere maa baap bhee,

mujhay kuch samjh nahi araha thay kay ye sab kia ho raha hai, mein rooh hoon yaa zindaa?

Aur agar mein zinda hon tau ye samnay mera Hamshakal kaun hai? Or dhamaka kese hogaya?

Mene note kia kay ulma a karam meri taraf daikh kar muskrat rahay thay, jese kay Woh mujhay ba asaani daikh rahay hon,

mene ulma a karam se jab saray mamlay kee haqiqat pata kee tau mere rongtay kharay hogaye,

Un kay mautabiq, Mein khud aik jinn thaa, jo apna diamghi tawazun kho bethnay kii waja se bahatak kar is be qasoor larkay par qabiz ho chuka thaa, or 4 salun se us par qabiz thaa,

Mein sirf aik hee shart par us se alag ho sakta thaa jab mujhay ye ahsas ho kay jis larkay kay jism par mein qabiz hon ab us ka koi or haqdar aachuka hai,

Mein aik paak saaf or Muslim jin hon iss liye ulma karam nay mujhay kam az kam takleef pohanchane or us larkay kee zindagi bachanay kee khatir 4 saal intizar kia,

Meri yadasht na hone ki waja se ye case insanun kay liye bohat paicheeda thaa, or is larkay kay maslay par 32 ulma, mufti or buzurg kaam kar rahay thay,

Ab mujhay sab samjh aaraha thaa kay mein is larke say jinnat kay bare mein itnaa kuon parhwata thaa, mein shayad apnay bare mein janna chahta thaa,

Woh larka yani kay mein ab tak behosh thaa, mene pyar se us kay sar par aik bosaa dia or pair pakar kar muafi mangee,

Meri yadasht ab wapis aa chuki thee, ulma a karam se galay milne or un ka hath choomnay kay baad mene un se rukhsat lee, or apnay qabeelay ki taraf ur chala.

—————————————————————————————————————————

This Horror Story is one of our best in Latest Horror Stories in Urdu, This Urdu Story is very different from other Stories. It reflects an unusual Twist and thrill.

This story is about the relation of a ghost and man. We are trying to focus on Short horror Stories because we want to keep alive reader’s interest.

Kindly let us know your Feedback about this Horror Story so we may write more Scary Stories in Urdu / Hindi.

TAGS: story in urdu, story urdu, in urdu story, urdu fairy, urdu story,
urdu fairy tales new stories 2017, urdu fairy tales new stories 2018, stories for kids in urdu, kids story in urdu, urdu fairy tales stories, urdu stories for kids, fairy tales in urdu, kahaniyan in urdu, stories in urdu, urdu story islamic, urdu story with moral, urdu story 2018, urdu story pdf, urdu story cartoon, urdu story new 2019, urdu story books pdf, urdu story 2019, urdu story writing, urdu story video, urdu story new, urdu story books, urdu story love, urdu story for kids, Urdu Fairy Tales, urdu kahani for childrens, jenny story in urdu urdu story, lake story in urdu urdu story, fairy tail in urdu, fairy tail, fairy tales, Urdu Kahaniya, urdu stories, urdu kahani, jenny story, lake story, witch story, To Your Good Health Story | in Urdu, Princess of the Blue Mountain Story in Urdu, The Grumpy Old Man Story in Urdu, funny story, shopkeeper story, The Magic Swan Story in Urdu, Mangita And Larina Story in Urdu,

This post has already been read 5433 times!