June 5, 2023

AwiShewi Entertainment Website

Urdu Poetry, Urdu Stories, Urdu Quotes, Urdu Interesting Questions and Urdu Interesting Things Related Website

News Caster – Urdu Hindi Moral story

Urdu Stories

News Caster - Hindi Moral story (Roman Urdu Kahani) 2

This post has already been read 5189 times!

Aik aisi Urdu / Hindi Moral story jo dimagh ko ghuma daigi, Woh mangal ka din thaa mein subha saweray hasb e mamool ghusul karnay kay liye ghusul khanay mein pohancha,

Tau mere uper hairat or afsoos kay aisay pahar tootay jis kay wazan se mein aaj tak nahi sambhal paya hoon,

Apnay jisam par gair mamoli tabdeeli daikh kar kabhi mein ayenay ko saaf karta thaa or phir kabhi dewana waar apni ankhain dhoota thaa,

Lekin naseeb kaa likha kab pani say dhula karta hai, 15 saal baad aaj pehli dafa mene apnay seenay par larkiyoun walay aasaar daikhay thay,

Choti umar mein is badlaoo koo apna motapaa samajhtaa thaa,

Lekin aaj apnay  seenay par is wazeh faraq ko daikh kar mein jaan chukaa tha kay ye mera motapa nahi balkay meri qismat ka aik sitam hai,

Han mein aik hijra thaa, mujhay apnay doston kay kasay huwe saray jumlay yad anay lagay jinhain mein mazak mein dhuwan ki tarah uraa dia karta thaa.

Mujhay mere doston kay bohat saray jumlun ka matlab, Aaj samajh anay laga kay Woh mere baat karne kay andaz, chaal dhaal, Pehenne aurhnay kay tariqay gharz ye kay meri har baat ka mazak kuon uratay thay.

25 mintain guzar janay kay bad bhee mere hath paon par kapkapi taree thee, meri khubsuarti aj mere samnay aik badsoorat haiwaan kaa chehra paish kar rahee thee,

Urdu Stories
News Caster – Urdu and Hindi Moral story

Dil tau chahta thaa kay abhi razor utha kar hath kee nas kaat lun or yahee karnay bhee wala thaa kay maan nay awaz laga dee “Ashraf puttar, Naha Raha hai ya Paye bana raha hai”,

Maan ki awaz sun kar uska chehra samnay agaya, or ansoo bhari ankhun se mene ghusal kia or khamoshi se school kee taraf rawana hogaya.

School ghar se sirf 10 mintoon ki douri par tha iss liye paidal hee chala jataa thaa, Aaj bhi school ki taraf usee rastay se jaa raha thaa lekin sab kuch ajnabee saa maloom hoo raha thaa,

Dimgah me afsoos or sharmindgee kaay kahayaloun ne kohram saa machaya huwaa thaa, apnay aap se hee sharam or ginh arahaa thee,

Hijron kay sath honay walay mazak, ziyadatiyan or bad sulooki ka soch soch kar dil khoon kay ansoo ro raha thaa.

School kay doston ko ye pata chal gaya tau? Kia sochenge? Kaun bethega mere baraber mein?

Mujhay bhee laug pathar marenge tau? Is kashmakash mein mubtala thaa kay School agaya,

Kitaboon or kapyooun mein mujhay choriyan or mehendiyan nazar arheen theen,

Kia mein bhee signal par kaharay doosray hijron ki tarah bheek mangon ga yaa phir shadiyoun me be haya rask dikha kar daal roti kamoanga?

Kia mera bhee jism Zina kee aag mein jalaega ya koi Harami keh kar zinda dafnaa daigaa?

Sharam se ziada ab mujhay is bhayanak muashray se khauf anay laga thaa,

School ka waqt kab khatam hogaya mujhay pata hee naa chala,

Mein phir sar jhukaye or gehri sochon me garak ghar ki taraf rawana hogaya, Kisay bataon yaa kis se madad mangon, kuch samajh nahi araha thaa,

Abba kamzor dil kay insan hain or aik sanjida Heart attack ka samna kar chukay hain,

Agar unhain batoanga tau shayayd Woh is sadmay se apnee jaan kho bethenge, “nahee mein qatil nahi ban sakta Woh bhee apnay aap kaa”, yeh jumla barbarate huwe mene is kahayal ko apnay dil se sada kay liye tark kar dia.

Amma ko bata daita hun, maan tau sab sambhal laiti hai, lekin maa kay samnay ye bat kese or kin alfaz mein kahon?

Agar us nay abba ko bata dia tau? “Nahi Nahi mein ye bat ksi ko nahi bataonga.”

 

Chotay say gaon mein ye baat aag ki tarah phel sakti hai, qabal is kay, kay laugon ko mere phelte huwe zanana jism or chaal daal mein wazeh faraq nazar aye, mujhay gaon se bhaag jana chahye.

Lekin kahan jaa kar rahun? Laug tau puree dunya mein hain, Har jagaa hee tau hijrun ki tazleel kee jatee hai,

Ghar pohanchtay hee, apnay kamray mein jaa leta, Aik hee choti behen hai, Jab Woh baree hogee tau mere baray mein kia sochegi?

Woh laugon ko mere baray mein kia batayegi? “Mera bhai Hijra hai” kia ye bol kar Woh mera taruf karwayi gee?

Pata nahi kab aankh lag gayi or jab amma pyar se sar par hath pher kar jaganay lagin tau phir wahee matam e sitam shuru hogaya,

Amma nay paas beth kar pucha, “Puttar, Kee hoya hai” us kay lehjay mein bhari mamta me itna asar thaa kay mera dil chaha kay waheen zoor zoor se phoot kar roo paroon or usay sab batadoon,

Lekin Mene aik dost se narazgi kaa bahana bana kar baat ko taal dia, kuon kay mein apnay waldain ko iss gham se aashnaa nahee karnaa chahta thaa,

Phir mene himmat baandhi orInternet par or bohat see kitabun kaa mutallaa shuru kar dia kay kis tarah mein apnay aapko zanana asaraat se bacha sakta hon,

Mein khullay maidanon or paharon par jaa kar ghanton warzish karta or Subha Fajar kee namaz adaa karne kaay baad Samandar kinaray jaa kar quran shareef kee tilawat karta takay meri awaz mein zanana pan naa aye or Mardana awaz qayem ho sakay,

Mere ghar walay iss ghair mamoli tabdeeli ko daikh kar bohat hairan bhee thay or pareshan bhee,

Un kay daryaft karnay par mein aik hee baat dohrata kay muje Army mein jana hai, us kay liye ye sab karna zarori hai,

Mein raat ko khoob girgira kar Allah pak kee bargah mein faryad karta kay Mera Aib kabhi naa khulay,

6 maah kay qaleel arsay mein mere jism se zanana pan kharij honay laga or mein ab dusrun larkun kee tarah sab kay samnay apna shirt utar sakta thaa,

Mein rauz 2 ghantay paidal chalta or iss baat kaa khaas khayal rakhta kay meri chaal dhaal se zanana pan na zahir ho,

Apnay jama kiye huwe paison se mene aik camera wala mobile khareeda, takay mein camera kay samnay bolun usay record kar lun,

Phir mein un recordings ko baar baar daikhta or apni ghaltiyoun mein improvement lataa,

Khas taur par apnay hathun or aawaz ko mukammal taur par mardana bana kar record karta,

Mein ziada tar khabrain parhta kuon kay mujhay videos banana kay liye achee urdu or ziada malommat chahye thee,

Ab mein jab bhee apnay doston mein bethta tau meri awaz, lafzun kee adayegi or saaf urdu se woh bohat mutasir hotay,

Mere dost ab mera mazak uranay kee bajaye, meri shaksiyat se maroob honay lagay thay,

Issi bhaag daur mein mein Matric ka result hogaya or mene puray gaon mein Teesri position (3rd) lee thee,

Mujhay apnay hee school se Teaching kee paishkash bhee agayi or mene khushi se usay qabool kar lia,

Mein school mein sabaq daine se pehle, ghar par uski bohat mashq karta, or usi mashq kii waja se, mere andar bohat aitmaad aachuka thaa,

Mein apnee teching qabliyat or kasrat e Maloomat kee waja se, gaaon ka sab se behtareen ustaad mana janay laga,

Mere walid, walda or behen kaheen bhee jatay tau laug unhain pehchan kar bohat izzat daite,

Aik din mere qareebi dost nay meri videos daikheen tau usay bohat pasand ayin or usnay mujhay youtube par aik channel bana kar dia,

Or us din se meri apni sari videos usi youtube kay channel par daalne laga,

Aik saal kay andar mere Youtube channel par 3000 kay qareeb Subscribers / Fans ho chukay thay,

Mein Rauz Tahajuud ki namaz parh kar Allah Ka shukar Ada karta thaa kay us nay mujh par apna itnaa baraa ahsaan kia,

Aik din mujhay Kisi unknown number se phone aya,

Jab mujhay pata chala kay Woh hamaray mulk kay aik bohat baray news channel kay HR director ka phone hai or Woh mujhay As Newscaster hire karna chahte hain,

Tau meri ankhon mein khushi kay aanssoo thay or mein khud ba khud sajday  mein gir gaya,

Aaj mein Pakistan kay naam war channel mein aik Senior sahafi kee hesiyat se apnay farayez anjaam dai raha hon,

Mein apnay Allah kaa jitna shukar ada karon Woh kam hai bas aap laugon se itni see guazarish hai kay hamari Biradri kay saray laug shauq se nahi mangtay naahee Woh zina ki taraf jana chahte hain,

Iss liye agar aap kay aas paas bhee is qisam kaa koi shaks maujodd ho tau barah e karam us ki madad karne kee koshish kijyega, kia pata apki aik choti see kawish usay kamyabi ki taraf gaamzan kar dai.

Read: urdu khofnak kahani read online here

————————————- THE END———————————–

Urdu  / Hindi Moral Story is worth reading and sharing because it is not like other Urdu  / Hindi moral stories.

This Urdu / Hindi Kahani addressed on very sensitive issue / topic which is Transgender and their problems.Hindi and Urdu Moral Story is all about the boy who came to know that He is transgender but unlike others, he started a journey which was very difficult and hard to adopt but anyhow he got succeeded.

This Hindi Moral Stories for Class 10 and above due to its sensitive content and harsh realities about transgender.We rarely find Urdu Kahani PDF on transgender in Roman Hindi / Urdu so wrote this sensitive topic in in form of Roman Urdu / Hindi Story.

How was our this Hindi Moral story? Tell us in the comment box below and Keep connected for more Urdu / Hindi Kahani Online.

TAGS: story in urdu, story urdu, in urdu story, urdu fairy, urdu story,
urdu fairy tales new stories 2017, urdu fairy tales new stories 2018, stories for kids in urdu, kids story in urdu, urdu fairy tales stories, urdu stories for kids, fairy tales in urdu, kahaniyan in urdu, stories in urdu, urdu story islamic, urdu story with moral, urdu story 2018, urdu story pdf, urdu story cartoon, urdu story new 2019, urdu story books pdf, urdu story 2019, urdu story writing, urdu story video, urdu story new, urdu story books, urdu story love, urdu story for kids, Urdu Fairy Tales, urdu kahani for childrens, jenny story in urdu urdu story, lake story in urdu urdu story, fairy tail in urdu, fairy tail, fairy tales, Urdu Kahaniya, urdu stories, urdu kahani, jenny story, lake story, witch story, To Your Good Health Story | in Urdu, Princess of the Blue Mountain Story in Urdu, The Grumpy Old Man Story in Urdu, funny story, shopkeeper story, The Magic Swan Story in Urdu, Mangita And Larina Story in Urdu,

This post has already been read 5189 times!