
This post has already been read 2347 times!
Introducton / Kahani kaa Pas Mazar
Mathematic kay Hairat angaiz Islamal par Aik behtareen Jasoosi Story in Urdu / Hindi Parhain. Ye Purisraar Urdu Story apko dusree Hindi – Urdu Stories / Kahani say mukhtalif lagegi.
Jasoosi Story in Urdu
( Urdu Story 2019)
Ye un dinon kee bat hai kay jab mera aik dost waseem Lahore se sardiyoun kee chutyan guzarne Karachi aya thaa,
Woh intiha ka zaheen or talented insaan thaa kay, Mein us se ksi bhee mauzoo par behes mein kabhi nahi jeet sakta thaa,
Ham donon nay Bcom Karachi university se saath kia tha is kay bad mein aik private company mein job karne laga,
Or Waseem ko aik achee sarkari naukree mil gayi thee or us ki Shifting Lahore mein hogayi thee,
Waseem ka maths bohat acha thaa or woh har baat mein Maths (Hisab) kee misalain daita,
Woh dunya kay samnay bilkul normal life jeeta thaa lekin woh aksar mujhay Maths se aise problem kaa solution bata daita jis se mera dimagh dhang reh jata,
Aik dafa ham kabootaron ko dana daine gaye tau usnay danaa daalne se pehle 15 minutes tak kabotron ko baray ghaur say say daikha,
Phir apna pen or paper nikal kar 10 minute tak koi calculation kee,
Danay dalne se pehle us nay mere kan mein sargoshi karte huwe kaha,
“AIjaz, ye daikho samnay be shumar kalay kabotar hain or un mein se sirf 4 ka rang safaid hai”
Mene note kia tau waqayi mein sirf 4 safaid kabotar dana chugne mein masroof thay,
“Tau kia karun woh 4 safaid kabotar pakar laon?”, Mene Muskrate huwe kaha, halanke mujhay ilm tha kay Waseem kuch anokha karne wala hai,
“Nahee, hamara daana dalne kay theek 16 mintute tak tum daikhtay rehne, 8 minute guzrenge tau 4 ki bajaye 7 safaid kabotar jama hojayenge,
“13 minutes baad ye 5 hojayenge or 16 minutes mukammal hone par sirf 1 safaid kabotar reh jayega”, us nay pur israr andaz mein baat mukammal keee,
“Bhai agar aisa hogaya tau mein apka zindagi bhar ka ghulam hojaonga”, mene usay challenge karte huwe kaha
“Aisa nikamma ghulam tumhain hee Mubarak”, usnay muskrat kar kaha
Khair ham nay dana daal dia, ghari daikhee or mein mobile se video banana laga,
Kuch hee dair guzree thee kay safaid kabotar barhne lagay, kuch safaid kabotar urte or kuch naye ajatay,
Theek 8 minutes guzarne kay baad hamaray samnay 7 safaid kabotar maujood thay,
Meri aqal bilkul dhang reh gayi kay ye kese mumkin hai,
Mein waseem kee taraf daikh raha thaa, or woh sirf mujhay daikh kar muskra raha thaa,
Phir Safaid qabotarun kay anay janay ka silsia phir se shuru hoagaya,
12 minutes puray honay par hamaray samnay aik bhee safaid kabotar maujood na thaa, mein dil hee dil mein khush ho raha thaa kay Waseem mujh se shart harnay wala thaa,
Abhi 13 minutes honay mein 10 seconds hee baqi thay kay aik sath 5 qabootar dana chugnay pohanch gaye,
Mujh par sakta tari hogaya kuon kay 13 minutes puray honay par hamari ankhon kay samnay 5 safaid kabotar aujood thay,
Or jab 16 minutes honay par wahan sirf 1 safaid kabotar maujood tha tau mera dimagh chakra gaya,
Mein abhi chakra kar girnay hee wala thaa kay waseem nay mujhay sambhal lia,
Ham ghar kee taraf nikal gaye, mein bilkul sehma huwa thaa iss liye ham nay pura rasta khamoshi se tay kia,
Ghar pohanch kar waseem mujhay Ghulam Ghulam keh kar chiranay laga,
Mere pas uski bat ka koi jawab nahee thaa,
Issi tarah kayi dafa woh mujhay meri pasand ka rang bata daita, Luddo khelte khelte woh Chakka (dice) girnay se pehle hee bata daita kay kia number ayega,
Or iss tarah kay bohat say waqiyat,
Jab woh Lahore wapis janay laga tau mene us se bohat zid kee kay woh muje bhee ye sab sikha kar jaye,
Tau woh sirf itna keh gaya kay “kuch cheezain pur israr hee ache lagtee hain”
Mujhay aaj tak samjh nahi aya kay pas aisi Kaun see pur israr taqat hai, us kay mutabiq woh Maths (Hisab) kee taqat se ye kamal karta tha,
Lekin Maths tau mene or bohat say dusre achay taib e ilmon nay bhee parhee hai, Agar Maths mein itnee taqat hai tau ham sab aisa kuon nahi kar sakte,
Mere pas tau iss ka jawab nahi, lekin aap readers kay paas is ka jawab hai tau zaur comment Box mein bata kar meri ye uljhan dour karain.
Mazeed Jasoosi Stories in Urdu Parhnay kay liye yahan Click karain.
—————————- THE END ——————————–
This Suspense Story in Urdu is very thriling and interesting. You would like this Urdu Story for sure like our other Urdu stories of Urdu Story 2017.
This Urdu Kahani tells us the unusual Power of Maths. Urdu Font Kahani are always entertaining and lessons.
This Suspense Urdu font story will open your mind for the new perspective about the power of Maths.
We intend to write more Roman Stories like this to entertain our readers. How was our this Suspense Story in Urdu? Tell us in the comment Box below.
TAGS: story in urdu, story urdu, in urdu story, urdu fairy, urdu story,
urdu fairy tales new stories 2017, urdu fairy tales new stories 2018, stories for kids in urdu, kids story in urdu, urdu fairy tales stories, urdu stories for kids, fairy tales in urdu, kahaniyan in urdu, stories in urdu, urdu story islamic, urdu story with moral, urdu story 2018, urdu story pdf, urdu story cartoon, urdu story new 2019, urdu story books pdf, urdu story 2019, urdu story writing, urdu story video, urdu story new, urdu story books, urdu story love, urdu story for kids, Urdu Fairy Tales, urdu kahani for childrens, jenny story in urdu urdu story, lake story in urdu urdu story, fairy tail in urdu, fairy tail, fairy tales, Urdu Kahaniya, urdu stories, urdu kahani, jenny story, lake story, witch story, To Your Good Health Story | in Urdu, Princess of the Blue Mountain Story in Urdu, The Grumpy Old Man Story in Urdu, funny story, shopkeeper story, The Magic Swan Story in Urdu, Mangita And Larina Story in Urdu,
This post has already been read 2347 times!
More Stories
Hindi Love Story Of A Girl | True Love Story
Latest Heart Touching Short Sad Love Stories in Urdu / Hindi
Best Heart Touching Love Story In Urdu / Hindi